Home » , , » hari naam ke hire moti Lyrics - Ajay Kapil Hari Ke Rang Album

hari naam ke hire moti Lyrics - Ajay Kapil Hari Ke Rang Album

hari naam ke hire moti Lyrics by Ajay Kapil in Hari Ke Rang Album.

hari naam ke hire moti Lyric

Hari naam ke hire moti main bikhraun gali gali
Lootlo jiska jee chahe main shor machaun gali gali

Jis jisne ye hire loote wo toh maala maal hue
Prabhu naam ko bhulne waale ik pal mein behaal hue
Ram krishna aur gautam ka itihas sunaun gali gali
Lootlo jiska jee chahe main shor machaun gali gali

Har aangan main har kan kan mein prabhu ka roop samaya hai
Aaj talak bhi uski mahima koi samajh na paya hai
Kanha kanha krishna murari naam ratun har gali gali
Lootlo jiska jee chahe main shor machaun gali gali

Maya ka diwana pan jab ant samay dikhlayega
Dhan daulat aur maal khazana yahin pada reh jayega
Sundar kaaya maati hogi charcha hogi gali gali
Lootlo jiska jee chahe main shor machaun gali gali